nahin nahin ye mera aks ho nahin sakta 
kisi ke samne mein yun to ro nahin sakta 
thakan se chur hai sara wajud ab mera 
main bojh itne ghamon ka to Dho nahin sakta 
tujhe ghazal to sunata hun aaj 'babar' ki 
magar main ashkon se daman bhigo nahin sakta
        Ghazal
Nahin nahin ye mera aks ho nahin sakta
Babar Rahman Shah

