nahin ki nama-baron ko talash karte hain
hum apne be-KHabron ko talash karte hain
mohabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jae
sab apne apne gharon ko talash karte hain
suna hai kal jinhen dastar-e-iftiKHar mili
wo aaj apne saron ko talash karte hain
ye ishq kya hai ki izhaar-e-arzu ke liye
harif nauhagaron ko talash karte hain
ye hum jo DhunDte phirte hain qatl-gahon ko
dar-asl chaaragaron ko talash karte hain
riha hue pa ajab haal hai asiron ka
ki ab wo apne paron ko talash karte hain
'faraaz' dad ke qabil hai justuju un ki
jo hum se dar-badaron ko talash karte hain
Ghazal
Nahin ki nama-baron ko talash karte hain
Ahmad Faraz