nahin ki apni tabahi ka 'raaz' ko gham hai
tumhaari zahmat-e-ahd-e-karam ka matam hai
nisar-e-jalwa dil-o-din zara naqab uTha
wo ek lamha sahi ek lamha kya kam hai
kisi ne chaak kiya hai gulon ka pairahan
shua-e-mehr tujhe e'timad-e-shabnam hai
qaza ka KHauf hai achchha magar is aafat mein
ye moajiza bhi ki hum ji rahe hain kya kam hai
wo raqs-e-shoala wo soz-o-gudaz-e-parwana
jidhar charagh hain raushan ajib aalam hai
hudud-e-dair-o-haram se guzar chuka shayad
ki ab ijazat-e-sajda hai aur paiham hai
shamim-e-ghuncha-o-gul rang-e-lala naghma-e-mauj
tere jamal ki jo sharh hai wo mubham hai
latafaton se zamana bhara paDa hai magar
meri nazar ki zarurat se kis qadar kam hai
fareb dil ne mohabbat mein khae hain kya kya
har ek fareb par ab tak yaqin-e-mohkam hai
meri nigah kahan tak jawab de aaKHir
teri nigah ka har har sawal mubham hai
abhi to apni nigahon ke iltifat ko rok
abhi to manzar-e-hasti tamam mubham hai

Ghazal
Nahin ki apni tabahi ka raaz ko gham hai
Raaz Yazdani