nahin jaane hai wo harf-e-sataish barmala kahna
magar nazron hi nazron mein wo is ka wah-wa kahna
sar-e-mahfil kare ruswa mera be-saKHta kahna
mere fankar ye nazuk-KHayali wah kya kahna
mere naraaz shanon ko thapak kar bar-ha kahna
chalo chhoDo gile-shikwe kabhi mano mera kahna
koi masrufiyat hogi wagarna maslahat hogi
na is paiman-faramoshi se us ko bewafa kahna
wafa to KHair kya hoti chalo ye bhi ghanimat hai
meri be-bastagi ko KHud raqibon ko bura kahna
Ghazal
Nahin jaane hai wo harf-e-sataish barmala kahna
Sabiha Saba