اردو हिंदी
Nahin hai koi dusra manzar chaaron or | Shaahi Shayari
nahin hai koi dusra manzar chaaron or

Ghazal

Nahin hai koi dusra manzar chaaron or

Saleem Shahzad

;

nahin hai koi dusra manzar chaaron or
phaila hai tarik samundar chaaron or

zinda hun bas ek yahi hai mera jurm
log khaDe hain le kar patthar chaaron or

kis dariya ko DhunDe ye janmon ki pyas
aag lagi hai mere andar chaaron or

wahm o KHirad ke mare hain shayad sab log
dekh raha hun shishe ke ghar chaaron or

chhoTe se aangan mein hoti hai jo baat
phaila karti hai wo aksar chaaron aur

apni baaton par bhi nahin aata hai yaqin
ab to yahan phirte hain payambar chaaron or

tanhai mein bhi sahma sahma har shaKHs
KHauf ne phaila rakkhe hain par chaaron or