nahin hai bahr-o-bar mein aisa mere yar koi
ki jis KHitte ka milta ho na dawedar koi
yunhi buniyaad ka darja nahin milta kisi ko
khaDi ki jaegi mujh par abhi diwar koi
pata chalne nahin deta kabhi fariyaadiyon ko
laga kar baiTh jata hai kahin darbar koi
nigahen us ke chehre se nahin haTtin jo dekhun
ki hai us ke gale mein besh-qimat haar koi
bachata phirta hun dariya mein apni kashti-e-jaan
kabhi is par hai koi bhi us par koi
usi ka qahr barpa hai usi ka faiz jari
har ek majbur ka hai malik-o-muKHtar koi
kahlwaya hai us ne phand kar diwar aa jaana
agar darwaze par baiTha ho pahre-dar koi
Ghazal
Nahin hai bahr-o-bar mein aisa mere yar koi
Ghulam Murtaza Rahi