اردو हिंदी
Nahin hai agar un mein barish hawa | Shaahi Shayari
nahin hai agar un mein barish hawa

Ghazal

Nahin hai agar un mein barish hawa

Khalid Mahmood

;

nahin hai agar un mein barish hawa
uTha baadalon ki numaish hawa

gahe barf hai gah aatish hawa
tujhe kyun hai dilli se ranjish hawa

main gunjaan shahron ka mara hua
nawazish nawazish nawazish hawa

tere sath chalne ki aadat nahin
hamari na kar aazmaish hawa

shikasta safina musafir niDhaal
talatum shab-e-tar barish hawa

ab ashk o tapish chashm o dil mein nahin
the yakja kabhi aab o aatish hawa