nahin aasman teri chaal mein nahin aaunga
main palaT ke ab kisi haal mein nahin aaunga
meri ibtida meri intiha kahin aur hai
main shumara-e-mah-o-sal mein nahin aaunga
abhi ek azab se hai safar ek azab tak
abhi rang-e-sham-e-zawal mein nahin aaunga
wahi haalaten wahi suraten hain nigah mein
kisi aur surat-e-haal mein nahin aaunga
mujhe qaid karne ki zahmaten na uThaiye
nahin aaunga kisi jal mein nahin aaunga
main KHayal-o-KHwab hisar se bhi nikal chuka
so kisi ke KHwab-o-KHayal mein nahin aaunga
na ho bad-guman meri dad-KHwahi-e-hijr se
meri jaan main shauq-e-visal mein nahin aaunga
Ghazal
Nahin aasman teri chaal mein nahin aaunga
Ahmad Mahfuz