اردو हिंदी
Nafraten na adawaten baqi hain | Shaahi Shayari
nafraten na adawaten baqi hain

Ghazal

Nafraten na adawaten baqi hain

Ibn-e-Mufti

;

nafraten na adawaten baqi hain
gar rahengi to ulfaten baqi

rah hi jate hain sab fasane yahan
hain jo baqi mohabbaten baqi

TimTimata diya hai bujhne ko
rah gain kuchh hi saaten baqi

KHatm hongi na ye mulaqaten
yar zinda to sohbaten baqi

jin pe nazan the ye zamin o falak
ab kahan hain wo suraten baqi

aaj bhi hain bahut se na-bina
dekhi jin mein basarten baqi

ban ke tawiz kuchh gale mein hain
bhule quran ki suraten baqi

hashr mein aur lahad mein jaana hai
rah gain do hi hijraten baqi

auj to bandagi mein muzmar hai
hech sari hain rifaten baqi