nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain
tamam ruh-e-taKHayyul pe chhae jate hain
hum un ka zauq-e-mohabbat chhupae jate hain
magar ye abr jo sawan ke aae jate hain
yahi saman tha kisi ki wida-e-aKHir ka
sitara-ha-e-sahar jhilmilae jate hain
zamana yaad kare ya saba kare KHamosh
hum ek charagh-e-mohabbat jalae jate hain
'nushur' aap ke ashaar-e-dard kya kahna
kisi ki bazm-e-mohabbat mein gae jate hain

Ghazal
Nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain
Nushur Wahidi