nafas ki aamad-o-shud ko wabaal kar ke bhi
wo KHush nahin hai hamara ye haal kar ke bhi
ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use
wo taza-dam raha mujh ko niDhaal kar ke bhi
hamein aziz hamesha rahi hai nisbat-e-KHak
ye sar jhuka raha kasb-e-kamal kar ke bhi
lo hum na kahte the hum ko nahin umid-e-jawab
lo hum ne dekh liya hai sawal kar ke bhi
ye ek umr purani sharab hai yaro
KHumar-e-hijr rahega visal kar ke bhi
usi ke nam ka sajda kiya musalle par
usi ka zikr kiya hai dhamal kar ke bhi
sharab dana-e-angur se barabar khinch
par ek kuza kashid-e-KHayal kar ke bhi
Ghazal
Nafas ki aamad-o-shud ko wabaal kar ke bhi
Arif Imam