nadi ka kya hai jidhar chahe us Dagar jae
magar ye pyas mujhe chhoD de to mar jae
kabhi to dil yahi uksae KHamushi ke KHilaf
labon ka khulna hi is ko kabhi akhar jae
kabhi to chal paDe manzil hi raste ki tarah
kabhi ye rah bhi chal chal ke phir Thahar jae
koi to baat hai pichhle pahar mein raaton ke
ye band kamra ajab raushni se bhar jae
ye tera dhyan ki sahma parinda ho koi
zara si sans ki aahaT bhi ho to Dar jae
bahut sambhaal ke darpan ana hai ye 'akhilesh'
zara si chuk se aisa na ho bikhar jae
Ghazal
Nadi ka kya hai jidhar chahe us Dagar jae
Akhilesh Tiwari