اردو हिंदी
Naz karta hai jo tu husn mein yakta ho kar | Shaahi Shayari
naz karta hai jo tu husn mein yakta ho kar

Ghazal

Naz karta hai jo tu husn mein yakta ho kar

Jaleel Manikpuri

;

naz karta hai jo tu husn mein yakta ho kar
main bhi nazan hun tera aashiq-e-shaida ho kar

main na samjha tha ki ashkon se uThega tufan
chand qatron ne Duboya mujhe dariya ho kar

chashm-e-bimar jo pahle thi wahi ab bhi hai
kuchh banae na bani tum se masiha ho kar

kis ke ruKHsar dam-e-sair-e-chaman yaad aae
phul aankhon mein khaTakne lage kanTa ho kar

dard tha dil mein to jine ka maza milta tha
ab to bimar se bad-tar hun main achchha ho kar

dam se chhuT ke bhi meri asiri na gai
zulf-e-sayyaad gale paD gai phanda ho kar

chhup ke rahna hai jo sab se to ye mushkil kya hai
tum mere dil mein raho dil ki tamanna ho kar

kya sitam hai shab-e-wada wo hina malte hain
rang lae na kahin KHun-e-tamanna ho kar

dahan-e-yar ki tarif jo ki main ne 'jalil'
uD gaya tair-e-mazmun mera anqa ho kar