nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein
bismil ki hai taDap mere kunj-e-mazar mein
gulzar-e-dahr mein chaman-e-be-KHizan hun main
lale ka rang hai jigar-e-dagh-dar mein
kanTa mila hai gunj ka zulfon ka jal hai
baali ki machhli hath lagi hai shikar mein
nau lakh ki jabhi hui qimat use nasib
moti the mere aablon ke un ke haar mein
ayyam-e-aish mein ruKH-e-daulat se hai alag
afsos par hamare kaTe hain bahaar mein
jab se uDi hai KHak-e-alam rashk-e-mahtab
ek aasman aur hai mere ghubar mein
dhoi hui hai dudh se teri zaban-e-saf
'aKHtar' tu hi hai shairon ke e'tibar mein

Ghazal
Nayab hai sukun dil-e-be-qarar mein
Wajid Ali Shah Akhtar