nawak-zani nigah ki ai jaan-e-jaan hai hech
jab tir hi na par hua to kaman hai hech
dair-o-haram bhi hech hain aur hech bagh-o-ragh
koi jagah ho be tere ai la-makan hai hech
firdaus hum ko saya-e-daman-e-yar hai
duniya ki asl kuchh nahin bagh-e-jinan hai hech
kuchh maut ka na gham hai na kuchh rahat-e-hayat
kuche mein us ke mujh ko bahaar-o-KHizan hai hech
chaaragari karega jo wo hai mizaj-dan
dard-e-darun ka ru-ba-ru us ke bayan hai hech
ho ja ke ku-e-yar mein ai murgh-e-jaan muqim
bagh-o-bahaar hech hai aur aashiyan hai hech
qatil ke pas jaunga main KHud hi sar-ba-kaf
maqtal mein us ka aana pae imtihan hai hech
kya takiya us pe kijiye aalam hai be-sabaat
hasti abas hayat abas jism-o-jaan hai hech
tauhid-e-ishq mein mujhe donon hain ek se
marg-o-hayat hech hai sud-o-ziyan hai hech
jo us ki KHubiyon ka sana-KHwan na ho kabhi
wo hech aur us ke dahan mein zaban hai hech
hun mahw-e-did aankh uThaun main kis taraf
dekhun main kis ko juz tere husn-e-butan hai hech
juz zikr-e-yar aur kahani nahin pasand
sab qisse mujh ko hech hain aur qissa-KHwan hai hech
nalan jo hain jahan mein gham-e-ishq se tere
naqus un ko hech hai bang-e-azan hai hech
kya asl tegh ki tere abru ke samne
tir-e-mizha ke samne nok-e-sinan hai hech
hain band aankhen 'barq' ki dil mein hai teri yaad
kya dekhe sar uTha ke use sab jahan hai hech
Ghazal
Nawak-zani nigah ki ai jaan-e-jaan hai hech
Shyam Sunder Lal Barq