nawak-e-taza dil par mara jang purani jari ki
aaj hawa ne zaKHm-e-kuhan mein Dub ke taza-kari ki
jis kyari mein phul khile the nag-phani si lagti hai
mausam-e-gul ne jate jate dekha kya dushwari ki
ek taraf ru-e-jaanan tha jalti aankh mein ek taraf
sayyaron ki rakh mein milti raat thi ek bedari ki
ku-e-bayan ki virani se mera bhi ji baiTh gaya
munh moDe aawaz khaDi hai saz-e-rah-sipari ki

Ghazal
Nawak-e-taza dil par mara jang purani jari ki
Aziz Hamid Madni