naseha aaya nasihat hai sunane ke liye
ya ki aaya hai yahan tere satane ke liye
aa ke lashe pe mere wo aabdida gar hua
ye bahana aansuon ka hai bahane ke liye
tum jo kahte ho ki kya wo aisi jaldi mar gaya
kya hain barson chahiyen ek jaan jaane ke liye
kya hua gar maut aai hai wo aane ke liye
kya hua gar jaan gai hai wo bhi jaane ke liye
hai faqat parhez ye kah do mariz-e-ishq se
pine ko KHun-e-jigar hai gham hai khane ke liye
munh mein zahid ke bhi hain do dant hathi ki tarah
ek dikhane ke liye hai ek khane ke liye
kaun hai zer-e-falak phirta hai jo apni KHushi
phir rahe hain sab jahan mein aab-o-dane ke liye
peT ke gham ne kiya hai sab jahan ko muntashir
bap se beTa juda hai aab-o-dane ke liye
jalwa baKHsha wo mujhe tere ruKH-e-pur-nur ne
tur par musa gaya tha jis ke pane ke liye
dekh kar aaya hai naseh kya jahannam ka azab
hain faqat ye jahilon ka dil Darane ke liye
rah gaya apna kaleja tham jallad-e-falak
jab uThaya us ne KHanjar KHun bahane ke liye
aab to dete ho KHanjar ko magar ye soch lo
KHun mera chahiye us ko bujhane ke liye
wada aashiq se na ho sachcha to jhuTa hi sahi
chahiye kuchh to tasalli dil baDhane ke liye
munh na dekha aish ka tadbir hum ne lakh ki
gham ghaTane ke liye farhat baDhane ke liye
jab kaha main ne ki kyun baaten banate ho bahut
hans ke bole baaten hoti hain banane ke liye
ai dil-e-nadan nahin daulat dabane ke liye
KHarch kar us ko wo hai khane khilane ke liye
jab kaha mera faqat hai ek bose ka sawal
bole daulat husn ki kya hai luTane ke liye
hai bulaya 'mashriqi' ko tum ne jo pesh-e-raqib
kya nikala tha ye nusKHa dil dukhane ke liye

Ghazal
Naseha aaya nasihat hai sunane ke liye
Sardar Genda Singh Mashriqi