اردو हिंदी
Naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho | Shaahi Shayari
naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho

Ghazal

Naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho

Sauda Mohammad Rafi

;

naseh ko jeb sine se fursat kabhu na ho
dil yar se phaTe to kisi se rafu na ho

is dil ko de ke lun do jahan ye kabhu na ho
sauda to howe tab ye ki jab us mein tu na ho

aaina-e-wajud adam mein agar tera
wo darmiyan na ho to kahin hum ko ru na ho

jhagDa to husn o ishq ka chukta hai pal ke bich
gar mahkame mein qazi ke tu ru-ba-ru na ho

qatre ki khul gai hai girah warna ai nasim
shor-e-dimagh murgh-e-chaman gul ki bu na ho

guzre so guzre ahl-e-zamin upar ai falak
aainda yan talak to koi KHub-ru na ho

dil le ke tujh se barq ke shole ko dijiye
par hai ye Dar ki us ki bhi aisi hi KHu na ho

gul ki na tuKHm murgh-e-chaman kar sake talash
hum KHam-fitraton se teri justuju na ho

'sauda' badal ke qafiya tu is ghazal ko kah
ai be-adab tu dard se bas du-ba-du na ho