naseh-e-mushfiq ye mashq-e-taza farmane lage
din to tha ab raat ko bhi aa ke samjhane lage
hazrat-e-wais kahin daulat-sara ko jaiye
aate hi saman-e-mahshar aap dikhlane lage
aa gae jab yaad kuchh us rabt baham ke maze
dil bhar aaya dida-e-tar ashk barsane lage
phir subu unDle bhare shishe hue labrez jam
laghzish-e-pa apni apni mast dikhlane lage
baghban hushiyar ho mushtaq-e-ruKHsat hai bahaar
rang badla gulistan ka phul murjhane lage
jalwa-ha-e-husn chamke uTh gae munh se naqab
turra-e-gesu ke baham sanp lahrane lage
hath uTha ai chaaragar darman-e-be-tasir se
ja-e-ashk aankhon se ab laKHt-e-jigar aane lage
KHub roe dekh kar hum zewar-e-diwangi
jab ahibba panw mein zanjir pahnane lage
bhTiyan raushan huin chamki dukan-e-mai-farosh
ruKHsat-e-tauba hui zuhhad ghabrane lage
fasl-e-gul aai baDhe josh-e-junun ke walwale
di sada zanjir ne phir panw khujlane lage
mane-e-matlab hui wo sharam baham ai 'nasim'
wo ruke apni taraf hum aap sharmane lage
Ghazal
Naseh-e-mushfiq ye mashq-e-taza farmane lage
Naseem Dehlvi