اردو हिंदी
Nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha | Shaahi Shayari
nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha

Ghazal

Nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha

Asif-ud-Daula

;

nama tera main le kar munh dekh rah gaya tha
kya jaaniye ki qasid kya mujh ko kah gaya tha

kuche se apne tu ne mujh ko abas uThaya
sab to chale gae the ek main hi rah gaya tha

pahle jo aansu dekha lohu sa lal tum ne
naseh wo dil hamara KHun ho ke bah gaya tha

kuchh bhi na sujhta tha us bin mujhe to 'asif'
jis din sati yahan se wo rashk-e-mah gaya tha