nam 'akbar' to mera man ki dua ne rakkha
han bharam us ka magar mere KHuda ne rakkha
wo bhi din tha ki tere aane ka paigham aaya
tab mere ghar mein qadam baad-e-saba ne rakkha
kis tarah logon ne mangin thin duaen us ki
kuchh lihaz is ka na be-mehr hawa ne rakkha
aise haalat mein ek roz na ji sakte the
hum ko zinda tere paiman-e-wafa ne rakkha
ittifaqat ke pichhe bhi hain asbab-o-ilal
ek na ek apna sabab dast-e-qaza ne rakkha
jis ne rakkha teri miTti hui qadron ka lihaz
kuchh KHayal is ka nahin tu ne zamane rakkha
sirf 'akbar' hi nahin dekh ke taswir hua
sab ko hairan tere naqsh-e-kaf-e-pa ne rakkha
Ghazal
Nam akbar to mera man ki dua ne rakkha
Akbar Hameedi