nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin
kab aasman zamin o zamin aasman nahin
aankhon se dekh kar tujhe sab manna paDa
kahte the jo hamesha chunin hai chunan nahin
us bazm mein nahin koi aagah-e-dard kab
wan KHanda zer-e-lab idhar ashk-e-nihan nahin
afsurda-dil na ho dar-e-rahmat nahin hai band
kis din khula hua dar-e-pir-e-mughan nahin
lab band hon to rauzan-e-sina ko kya karun
thamta to mujh se nala-e-atish-inan nahin
milna tera ye ghair se ho bahr-e-maslahat
hum ko to sadgi se teri ye guman nahin
ai dil tamam nafa hai sauda-e-ishq mein
ek jaan ka ziyan hai so aisa ziyan nahin
be-waqt aae dair mein kya shorishen karen
hum pir o pir-e-mai-kada bhi naujawan nahin
kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaq
shayad ki gardish aaj tujhe aasman nahin
'azurda' honT tak na hile us ke ru-ba-ru
mana ki aap sa koi jadu-bayan nahin
Ghazal
Nalon se mere kab tah-o-baala jahan nahin
Mufti Sadruddin Aazurda