nala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin
hai taqaza-e-jafa shikwa-e-bedad nahin
ishq-o-mazduri-e-ishrat-gah-e-KHusruw kya KHub
hum ko taslim niko-nami-e-farhad nahin
kam nahin wo bhi KHarabi mein pe wusat malum
dasht mein hai mujhe wo aish ki ghar yaad nahin
ahl-e-binash ko hai tufan-e-hawadis maktab
latma-e-mauj kam az saili-e-ustad nahin
wae mahrumi-e-taslim-o-bada haal-e-wafa
jaanta hai ki hamein taqat-e-faryaad nahin
rang-e-tamkin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai
gar charaghan-e-sar-e-rah-guzar-e-baad nahin
sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchin
muzhda ai murgh ki gulzar mein sayyaad nahin
nafi se karti hai isbaat tarawish goya
di hai ja-e-dahn us ko dam-e-ijad nahin
kam nahin jalwagari mein, tere kuche se bahisht
yahi naqsha hai wale is qadar aabaad nahin
karte kis munh se ho ghurbat ki shikayat 'ghaalib'
tum ko be-mehri-e-yaran-e-watan yaad nahin
Ghazal
Nala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin
Mirza Ghalib