nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya
jo tum ne kaha wo dil ne kiya jo dil ne kaha wo hum ne kiya
ye haal hai mere marqad ka aalam hai ye mere madfan par
sarsar ne kisi din jhaDu di chhiDkaw kabhi shabnam ne kiya
furqat mein hazaron zulm sahe ulfat mein hazaron ranj diye
kya hum ne kiya kya tum ne kiya ye tum ne kiya wo hum ne kiya
aaankhon se bahe miTTi mein mile ahbab ko parwa kuchh na hui
matam mere ek ek aansu ka mizhgan ki saf-e-matam ne kiya
ab koi use fariyaad kahe ya koi use shikwa samjhe
hum ko jo sataya bandon ne to shukr KHuda ka hum ne kiya
yun aap bigaDne ko bigDen lekin ye zara sochen samjhen
kya sirf hamin ne ishq kiya duniya ne kiya aalam ne kiya
ye tum ne kiya ye tum ne suna ye tum ne kaha ye kaun kahe
wo puchhte hain kya hum ne kaha kya hum ne suna kya hum ne kiya
hasrat ko bhi hasrat aati hai ibrat ko bhi ibrat aati hai
wo shakl hamari gham mein hui ye haal hamara gham ne kiya
duniya ko Duboya ashkon se tufan uThaya ro ro kar
dariya-e-gham ulfat mein bapa ai 'nuh' talatum hum ne kiya
Ghazal
Nakaam-e-nashat-e-aish-o-KHushi har waqt ke ranj-o-gham ne kiya
Nooh Narvi

