na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun
bharun aankhon mein nazar sa nazar aa hi na sakun
dil jalana hai to ai mehr jala misl-e-kabab
dagh kuchh mohr nahin hai jo uTha hi na sakun
tah-e-shamshir-e-do-dam KHush hun ye shishe ki tarah
ek dam sang-dilon se main bana hi na sakun
ham-nashin yar ho kya ye hai nasibon mein firaq
joD aaza ke bhi ukhDen to biTha hi na sakun
KHud faramosh hun aisa ki dil-e-be-KHud se
yaad us but ki bhulaun to bhula hi na sakun
KHama sa hai azali sina-figari meri
zaKHm-e-dil lakh silaun pa sila hi na sakun
dastaras kakul-e-KHamdar ye hona hi muhaal
ye wo nagan hai jo hathon pe khila hi na sakun
naznin ye hai ki ai 'shad' nazar-bazon ko
kamar us ki jo dikhaun to dikha hi na sakun
Ghazal
Na-tawan wo hun nigahon mein sama hi na sakun
Shad Lakhnavi

