اردو हिंदी
Na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai | Shaahi Shayari
na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai

Ghazal

Na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai

Ejaz Siddiqi

;

na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai
na-rawa bhi kisi mauqe pe rawa lagta hai

yun to gulshan mein hain sab muddai-e-yak-rangi
bawajud is ke har ek rang juda lagta hai

kabhi dushman to kabhi dost kabhi kuchh bhi nahin
mujhe KHud bhi nahin malum wo kya lagta hai

is ki baaton mein hain andaz ghalat samton ke
ho na ho ye to koi rah-numa lagta hai

na haTa is ko mere jism se ai jaan-e-hayat
hath tera mere zaKHmon ko dawa lagta hai

dur se KHud meri surat mujhe lagti hai bhali
jaane kyun pas se har shaKHs bura lagta hai

rokta hun to ye rukta hi nahin hai 'ejaz'
mujhe har roz-o-shab-e-waqt hawa lagta hai