na-ashna-e-dard nahin bewafa nahin
ek aashna ki hae mera aashna nahin
laun jo dil ki baat zaban par to kis liye
main jaanta nahin hun ki tu jaanta nahin
jalta raha hun zist ke dozaKH mein umr bhar
ye aur baat hai meri koi KHata nahin
ek saghar-e-hayat ki KHatir tamam umr
wo kaun sa hai zahr jo main ne piya nahin
shayad darud-e-fasl-e-bahaaran qarib hai
ahl-e-junun ne chaak-e-gareban siya nahin
husn-e-urus-e-gul ki jamal-e-saman-baran
duniya mein kuchh bhi zauq-e-nazar ke siwa nahin
tere harim-e-naz ki us ko KHabar ho kya
jo sarhad-e-KHayal se aage gaya nahin
'rifat' jahan mein rasm-e-wafa hi nahin rahi
un se to kya kisi se bhi mujh ko gila nahin
Ghazal
Na-ashna-e-dard nahin bewafa nahin
Rifat Sultan