na wo shuur ki lau hai na wo nazar ka charagh
bujha paDa hai baDi der se hunar ka charagh
andheri raat ka dil chirta ho jaise koi
chala hai le ke hatheli pe koi sar ka charagh
usi ka nur wirasat hai ibn-e-adam ki
wo zindagi jise kahte hain hum sahar ka charagh
main apne harf-e-malamat ka KHud shikar hua
ki ghar mein aag lagi jis se tha wo ghar ka charagh
ek aane wale ka hai kab se intizar use
kaho hawa se bujhae na us ke dar ka charagh
jo qalb-o-jaan mein na soz-e-KHulus ho ai 'naz'
dua ke taq mein kaise jale asar ka charagh
Ghazal
Na wo shuur ki lau hai na wo nazar ka charagh
Naz Quadri