اردو हिंदी
Na wo KHizan rahi baqi na wo bahaar rahi | Shaahi Shayari
na wo KHizan rahi baqi na wo bahaar rahi

Ghazal

Na wo KHizan rahi baqi na wo bahaar rahi

Akhtar Shirani

;

na wo KHizan rahi baqi na wo bahaar rahi
rahi to meri kahani hi yaadgar rahi

wahi nazar hai nazar jo bain-hama pasti
sitara-gir rahi kahkashan shikar rahi

shab-e-bahaar mein taron se khelne wale
kisi ki aankh bhi shab bhar sitara-bar rahi

tamam umr raha garche main tahi-pahlu
basi hui mere pahlu mein bu-e-yar rahi

koi aziz na Thahra hamare dafn ke baad
rahi jo pas to shama sar-e-mazar rahi

wo phul hun jo khila ho KHizan ke mausam mein
tamam umr mujhe hasrat-e-bahaar rahi

kabhi na bhulengi us shab ki lazzaten 'aKHtar'
ki mere sine pe wo zulf-e-mushk-bar rahi