na wo fariyaad ka matlab na mansha-e-fughan samjhe
hum aaj apni shab-e-gham ki ghalat-samaniyan samjhe
baDi mushkil se un ka raaz-e-ulfat ho saka pinhan
baDi muddat mein ja kar hum mizaj-e-raaz-dan samjhe
ab aaya hai to baiThe chaara-gar KHamosh baalin par
meri be-chainiyan dekhe meri be-tabiyan samjhe
payam-e-shadmani kya samajh kar de koi us ko
jo tere gham ko takmil-e-nishat-e-do-jahan samjhe
main is duniya mein ai 'simab' ek raaz-e-haqiqat tha
samajhne ki tarah ahl-e-jahan mujh ko kahan samjhe
Ghazal
Na wo fariyaad ka matlab na mansha-e-fughan samjhe
Seemab Akbarabadi

