na tum mile the to duniya charagh-pa bhi na thi
ye mehrban to nahin thi magar KHafa bhi na thi
ajab gharibi ke aalam mein mar gaya ek shaKHs
ki sar pe taj tha daman mein ek dua bhi na thi
na itna bikhri thi pahle kitab-e-hasti bhi
aur itni tez mere shahr ki hawa bhi na thi
KHushi to ye hai ki pas-e-adab rakha hum ne
malal ye hai ki apni koi KHata bhi na thi
meri hayat kahan tak teri safai dun
ki tu KHarab nahin thi to parsa bhi na thi
bhala kiya ki hamein zahr de diya tum ne
alawa is ke hamari koi dawa bhi na thi
badal raha hai musalsal mizaj duniya ka
ye bewafa thi magar aisi be-haya bhi na thi
Ghazal
Na tum mile the to duniya charagh-pa bhi na thi
Tariq Qamar