اردو हिंदी
Na to zamin ke liye hai na aasman ke liye | Shaahi Shayari
na to zamin ke liye hai na aasman ke liye

Ghazal

Na to zamin ke liye hai na aasman ke liye

Sahir Ludhianvi

;

na to zamin ke liye hai na aasman ke liye
tera wajud hai ab sirf dastan ke liye

palaT ke su-e-chaman dekhne se kya hoga
wo shaKH hi na rahi jo thi aashiyan ke liye

gharaz-parast jahan mein wafa talash na kar
ye shai bani thi kisi dusre jahan ke liye