اردو हिंदी
Na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai | Shaahi Shayari
na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

Ghazal

Na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

Bedam Shah Warsi

;

na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai
teri zulf o ruKH ka farefta kahin subh hai kahin sham hai

tere ek na hone se saqiya na wo mai na shisha-o-jam hai
na wo subh ab meri subh hai na wo sham ab meri sham hai

na to chakhna jis ka azab hai na to pina jis ka haram hai
sar-e-bazm saqi ne di wo mai ki surur jis ka mudam hai

main duaen dun to wo galiyan karen baat baat par bhabtiyan
ye ajib taur-o-tariq hain ye ajib tarz-e-kalam hai

wo sitam se baz na aaenge yunhi zulm karte hi jaenge
unhen kya mare ki jiye koi unhen apne kaam se kaam hai

mera dil dahalne laga abhi do ghaDi tu dur hai ham-nashin
KHabar-e-visal nahin suni ye meri qaza ka payam hai

bache kis tarah se mariz-e-gham na tum aa sako na bula sako
yahi haalaten hain to dekhna koi dam mein qissa tamam hai

pise dil hazaron taDap gae jo sisak rahe the wo mar gae
uThe fitne hashr bapa hua ye ajib tarz-e-KHiram hai

ajab aashiqon ki namaz hai naya 'bedam' un ka niyaz hai
ki qayam hai na quud hai na to sajda hai na salam hai