اردو हिंदी
Na tanha nastarin o nastaran se ishq hai mujhko | Shaahi Shayari
na tanha nastarin o nastaran se ishq hai mujhko

Ghazal

Na tanha nastarin o nastaran se ishq hai mujhko

Anwar Sabri

;

na tanha nastarin o nastaran se ishq hai mujh ko
fida-kar-e-chaman hun kul chaman se ishq hai mujh ko

usi ki god mein palti rahi hai zindagi meri
muqaddas wadi-e-gang-o-jaman se ishq hai mujh ko

mohabbat hai azal ke din se shamil meri fitrat mein
bila tafriq shaiKH o barhaman se ishq hai mujh ko

agar chehre hon afsurda to jine ka maza kya hai
urus-e-zindagi ke bankpan se ishq hai mujh ko

samajhta hun use bhi ek manzil rah-e-himmat ki
purana halqa-e-dar-o-rasan se ishq hai mujh ko