اردو हिंदी
Na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale | Shaahi Shayari
na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale

Ghazal

Na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale

Mohammad Naqi Rizvi Asr

;

na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale
ajib shan se marne wafa-shanas chale

bana ke KHugr-e-ehsas-e-dard-o-gham-e-dil ko
hamare pas se sare hujum-e-yas chale

suna ke ahl-e-junun ko bahaar ka muzhda
hawas wale bhi ek samt bad-hawas chale

hayat nam hai aise safar ka ai hamdam
qadam qadam pe jahan fikr-e-as-o-yas chale

zaban pe aae to Dar hai bane na afsana
wo baat jis pe bahut har taraf qayas chale

hamari dalq-nawazi pe rashk karne ko
suna hai dair-o-haram se nazar-shanas chale

maza to jab hai bahaaron ki faiz-o-baKHshish ka
ki 'asr' jam bhi be-arz-o-iltimas chale