na samjhe dil fareb-e-arzu ko
na hum chhoDen tumhaari justuju ko
teri talwar se ai shah-e-KHuban
mohabbat ho gai hai har gulu ko
wo munkir ho nahin sakta fusun ka
suna ho jis ne teri guftugu ko
taghaful is ko kahte hain ki us ne
mujhe dekha na mahfil mein udu ko
nahin pani to mai-KHane mein ai shaiKH
jo kuchh maujud hai laun wazu ko
samajhta hi nahin hai kuchh wo bad-KHu
na KHud mujh ko na meri aarzu ko
na bhula ghar ke aada mein bhi 'hasrat'
tere farmuda-e-la-taqnatu ko
Ghazal
Na samjhe dil fareb-e-arzu ko
Hasrat Mohani