na sahi kuchh magar itna to kiya karte the
wo mujhe dekh ke pahchan liya karte the
aaKHir-e-kar hue teri raza ke paband
hum ki har baat pe israr kiya karte the
KHak hain ab teri galiyon ki wo izzat wale
jo tere shahr ka pani na piya karte the
ab to insan ki azmat bhi koi chiz nahin
log patthar ko KHuda man liya karte the
dosto ab mujhe gardan-zadani kahte ho
tum wahi ho ki mere zaKHm siya karte the
hum jo dastak kabhi dete the saba ki manind
aap darwaza-e-dil khol diya karte the
ab to 'shahzad' sitaron pe lagi hain nazren
kabhi hum log bhi miTTi mein jiya karte the
Ghazal
Na sahi kuchh magar itna to kiya karte the
Shahzad Ahmad