na sahi gar unhen KHayal nahin
ki hamara bhi ab wo haal nahin
yaad unhen wada-e-visal nahin
kab kiya tha yahi KHayal nahin
aise bigDe wo sun ke shauq ki baat
aaj tak hum se bol-chaal nahin
mujh ko ab gham ye hai ki baad mere
KHatir-e-yar be-malal nahin
afw-e-haq ka hai mai-kashon pe nuzul
rezish-e-abr-e-barshagal nahin
hum pe kyun arz-e-haal-e-dil pe itab
elchi ko kahin zawal nahin
sun ke mujh se wo KHwahish-e-pa-bos
hans ke kahne lage majal nahin
dil ko hai yaad shauq ka wo hunar
jis se baDh kar koi kamal nahin
aap nadim na hon ki 'hasrat' se
shikwa-e-gham ka ehtimal nahin
Ghazal
Na sahi gar unhen KHayal nahin
Hasrat Mohani