اردو हिंदी
Na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi | Shaahi Shayari
na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi

Ghazal

Na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi

Akhtar Shirani

;

na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na wo bahaar-e-chaman hai baqi
nigah-e-sham-e-sahar ke parde ye naqsha-e-anjuman hai baqi

zamana guzra wo yasman-bu juda hui ham-kanar ho kar
magar abhi tak hamare pahlu mein nikhat-e-yasman hai baqi

bhula chuki dil se sham-e-ghurbat har ek naqsha har ek surat
hamari aankhon mein lekin ab tak farogh-e-subh-e-watan hai baqi

zamana badla miTi jawani na wo mohabbat na zindagani
bas ek bholi si yaad hai jo ba-rang-e-dagh-e-kuhan hai baqi

miTa diye be-sutun charKH-e-kuhan ne shirin-laqa hazaron
magar mohabbat ke lab par ab bhi tarana-e-kohkan hai baqi

habab-asa muhit-e-hasti mein jo hai miTne ko ban raha hai
hai inqalab ek numud aisi jo zer-e-charKH-e-kuhan hai baqi

gham-e-zamana ki saKHtiyon se hui hai pamal tab-e-'aKHtar'
na wo nishat-e-kuhan hai baqi na wo mazaq-e-suKHan hai baqi