اردو हिंदी
Na rahe tum jo hamare to sahaara na raha | Shaahi Shayari
na rahe tum jo hamare to sahaara na raha

Ghazal

Na rahe tum jo hamare to sahaara na raha

Bismil Allahabadi

;

na rahe tum jo hamare to sahaara na raha
koi duniya-e-mohabbat mein hamara na raha

ab koi aur zamane mein sahaara na raha
jis ko kahte the hamara hai hamara na raha

de diya hazrat-e-isa ne use saf jawab
tere bimar ka ab koi sahaara na raha

kya kahen haal zamane ka KHulasa ye hai
tum hamare na rahe koi hamara na raha

kya kahun anjuman-e-naz ka haal ai 'bismil'
sab ke charche rahe bas zikr tumhaara na raha