اردو हिंदी
Na puchho zist-fasana tamam hone tak | Shaahi Shayari
na puchho zist-fasana tamam hone tak

Ghazal

Na puchho zist-fasana tamam hone tak

Yaqoob Aamir

;

na puchho zist-fasana tamam hone tak
duaon tak thi sahar aur sham rone tak

mujhe bhi KHud na tha ehsas apne hone ka
teri nigah mein apna maqam khone tak

har ek shaKHs hai jab gosht nochne wala
bachega kaun yahan nek-nam hone tak

chahaar samt se rahzan kuchh is tarah TuTe
ki jaise fasl ka tha ehtimam bone tak

bata raha hai abhi tak tera dhula daman
ki dagh bhi hain numayan tamam dhone tak

hazar rang-e-tamanna hazar pachhtawe
ajab tha zehn mein ek izhdiham sone tak

suna hai hum ne bhi aazad tha kabhi 'amir'
kisi ki chah ka lekin ghulam hone tak