na puchh marg-e-shanasai ka sabab kya hai
kabhi hamein tha talluq sabhon se ab kya hai
jahan sukut musallat hai dam-ba-KHud hai hayat
wahin se shor-e-qayamat uThe ajab kya hai
jo zehn hi mein siyahi unDel de suraj
to phir tamiz kise subh kya hai shab kya hai
janm diya hai dukhon ne ghamon ne pala hai
KHuda se puchhiye mera hasab-nasab kya hai
wo zahr-e-KHand jo ghole hain chashm o lab ne tere
tujhe KHushi ho to puchhen ki zer-e-lab kya hai
uThe hain hath to apne karam ki laj bacha
wagarna meri dua kya meri talab kya hai
Ghazal
Na puchh marg-e-shanasai ka sabab kya hai
Siddique Mujibi