na puchh kyun meri aankhon mein aa gae aansu
jo tere dil mein hai is baat par nahin aae
wafa-e-ahd hai ye pa-shikastagi to nahin
Thahar gaya ki mere ham-safar nahin aae
na chheD un ko KHuda ke liye ki ahl-e-wafa
bhaTak gae hain to phir rah par nahin aae
abhi abhi wo gae hain magar ye aalam hai
bahut dinon se wo jaise nazar nahin aae
kahin ye tark-e-mohabbat ki ibtida to nahin
wo mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aae
ajib manzil-e-dilkash adam ki manzil hai
musafiran-e-adam lauT kar nahin aae
'hafiz' kab unhen dekha nahin ba-rang-e-digar
'hafiz' kab wo ba-rang-e-digar nahin aae
Ghazal
Na puchh kyun meri aankhon mein aa gae aansu
Hafeez Hoshiarpuri