na puchh ai mere gham-KHwar kya tamanna thi
dil-e-hazin mein bhi aabaad ek duniya thi
har ek nazar thi hamare hi chaak-daman par
har ek saat-e-gham jaise ek tamasha thi
hamein bhi ab dar o diwar ghar ke yaad aae
jo ghar mein the to hamein aarzu-e-sahra thi
koi bachata hamein phir bhi Dub hi jate
hamare waste zanjir mauj-e-dariya thi
baghair samt ke chalna bhi kaam aa hi gaya
fasil-e-shahr ke bahar bhi ek duniya thi
tilism-e-hosh-ruba the wo manzar-e-hasti
faza-e-dida-o-dil jaise KHwab aasa thi
koi rafiq-e-safar tha na rahbar koi
junun ki rah mein 'gulnar' jada-paima thi
Ghazal
Na puchh ai mere gham-KHwar kya tamanna thi
Gulnar Aafreen