na nind aur na KHwabon se aankh bharni hai
ki us se hum ne tujhe dekhne ki karni hai
kisi daraKHt ki hiddat mein din guzarna hai
kisi charag ki chhanw mein raat karni hai
wo phul aur kisi shaKH par nahin khulna
wo zulf sirf mere hath se sanwarni hai
tamam naKHuda sahil se dur ho jaen
samundaron se akele mein baat karni hai
hamare ganw ka har phul marne wala hai
ab us gali se wo KHushbu nahin guzarni hai
tere ziyan pe main apna ziyan na kar baiThun
ki mujh murid ka murshid 'uwais-qarni' hai
Ghazal
Na nind aur na KHwabon se aankh bharni hai
Tahzeeb Hafi