na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi 
magar ahl-e-dawa-e-shauq se teri barham-e-naz bhari rahi 
kabhi jag uTha kabhi so gaya kabhi khil uTha kabhi kho gaya 
dil-mast jam-e-jamal ko na KHabar na be-KHabari rahi 
ye ajab hawas ka dayar hai yahan aam ana ka KHumar hai 
mujhe apne sahra se pyar hai mujhe ras dar-ba-dari rahi 
na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai 
main safar mein hun ki hazar mein hun meri zindagi safari rahi 
kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhup dhanak nirt 
mere daur mein dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi 
yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke sath mein chhal bhi hai 
fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi 
ye tabassum-e-sar-e-anjuman wo adawaton ke dilon mein phan 
nae daur mein nai nasl ki yahi shan-e-dida-wari rahi 
jo KHuda-shanas nahin hua kabhi KHud-shanas na ho saka 
wo jo munkirin-e-KHuda hue unhen KHud se be-KHabari rahi 
mere fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye 
magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi 
jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri nind sula diya 
na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki chaaragari rahi
        Ghazal
Na nazar ki dida-wari rahi na jigar ki be-jigari rahi
Khalilur Rahman Raz

