na mil saka tari lahron mein bhi qarar mujhe 
samundar apni tahon mein zara utar mujhe 
hawa ke panw ki aahaT gulab ki chiKHen 
suni hain main ne adalat zara pukar mujhe 
main bar bar tere waste bikhar jaun 
tu bar bar mere aaine sanwar mujhe 
falak ko toD dun main apni aah se lekin 
zamin walon se be-intiha hai pyar mujhe 
ek us ki zat se jab mera e'tibar uTha 
to phir kisi pe bhi aaya na e'tibar mujhe
        Ghazal
Na mil saka tari lahron mein bhi qarar mujhe
Ateeq Anzar

