na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana
jahan dekhi tajalli ho gaya qurban parwana
dil-e-azad ko wahshat ne baKHsha hai wo kashana
ki ek dar jaanib-e-kaba hai ek dar su-e-but-KHana
bina-e-mai-kada Dali jo tu ne pir-e-mai-KHana
to kaba hi raha kaba na phir but-KHana but-KHana
kahan ka tur mushtaq-e-laqa wo aankh paida kar
ki zarra zarra hai nazzara-gah-e-husn-e-jaanana
KHuda puri kare ye hasrat-e-didar ki hasrat
ki dekhun aur tere jalwon ko dekhun be-hijabana
shikast-e-tauba ki taqrib mein jhuk jhuk ke milti hain
kabhi paimana shisha se kabhi shishe se paimana
saja kar laKHt-e-dil se kashti-e-chashm-e-tamanna ko
chala hun bargah-e-ishq mein le kar ye nazrana
kabhi jo parda-e-be-surati mein jalwa-farma the
unhin ko aalam-e-surat mein dekha be-hijabana
meri duniya badal di jumbish-e-abru-e-jaanan ne
ki apna hi raha apna na ab begana na begana
jala kar shama parwane ko sari umr roti hai
aur apni jaan de kar chain se sota hai parwana
kisi ki mahfil-e-ishrat mein paiham daur chalte hain
kisi ki umr ka labrez hone ko hai paimana
hamari zindagi to muKHtasar si ek kahani thi
bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana
ye lafz-e-salik-o-majzub ki hai sharh ai 'bedam'
ki ek hoshyar-e-KHatm-ul-mursalin aur ek diwana
Ghazal
Na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana
Bedam Shah Warsi