na manzilen thin na kuchh dil mein tha na sar mein tha
ajab nazara-e-la-samtiyat nazar mein tha
itab tha kisi lamhe ka ek zamane par
kisi ko chain na bahar tha aur na ghar mein tha
chhupa ke le gaya duniya se apne dil ke ghao
ki ek shaKHs bahut taq is hunar mein tha
kisi ke lauTne ki jab sada suni to khula
ki mere sath koi aur bhi safar mein tha
kabhi main aab ke tamir-karda qasr mein hun
kabhi hawa mein banae hue se ghar mein tha
jhijak raha tha wo kahne se koi baat aisi
main chup khaDa tha ki sab kuchh meri nazar mein tha
yahi samajh ke use KHud sada na di main ne
wo tez-gam kisi dur ke safar mein tha
kabhi hun teri KHamoshi ke kaTte sahil par
kabhi main lauTti aawaz ke bhanwar mein tha
hamari aankh mein aa kar bana ek ashk wo rang
jo barg-e-sabz ke andar na shaKH-e-tar mein tha
koi bhi ghar mein samajhta na tha mere dukh sukh
ek ajnabi ki tarah main KHud apne ghar mein tha
abhi na barse the 'bani' ghire hue baadal
main uDti KHak ki manind rahguzar mein tha
Ghazal
Na manzilen thin na kuchh dil mein tha na sar mein tha
Rajinder Manchanda Bani