na latif sham ki justuju na hasin sahar ki talash hai
jo nazar nazar ko nawaz de mujhe us nazar ki talash hai
mere ham-safar tujhe kya KHabar ye nazar nazar ki talash hai
meri rahbar ko hai justuju tujhe rahbar ki talash hai
jo ajal ko jaane hayat-e-nau jo hayat-e-nau ko ajal kahe
mujhe rah-guzar-e-hayat mein usi ham-safar ki talash hai
na ho farq dair-o-haram jahan na ho apna apna sanam jahan
usi rahguzar ki talash thi usi rahguzar ki talash hai
jo bas ek pahli nigah mein mere dil ka raaz samajh sake
mujhe ibtida-e-hayat se isi dida-war ki talash hai
mere zauq-e-dard ka hausla sar-e-bazm kahta hai barmala
wo 'aziz' kaif se dur hai jise chaaragar ki talash hai
Ghazal
Na latif sham ki justuju na hasin sahar ki talash hai
Aziz Warsi

